The Information SpotTranslate

Friday, 19 June 2015

Khwaish...

Khwaish hai ki kash hamare bhi pankh hote,
udaano ke hamare bhi armaan hote,
udte hue un parindo ki tarah,
hum bhi us gagan ko chute.


Sach karte har sapna,
Aasman bhi hota apna,
tute pade khwabo ko dekhker,
fir na hum mayus hote.

Kabhi chup chap daali pe baith jaate,
kabhi behti dhara se khelte,
sache juthe ki pehchan,
hum bhi dil se karte.

Dil chu lene ki adat,
shayad hum bhi seekh hi jaate,
banjar padi is zameen per,
murjhae se yu na pade hote.

No comments:

Post a Comment